Apnana chaho agar kisi phool ko,
To samajhna seekho qudrat ke usool ko.
To samajhna seekho qudrat ke usool ko.
Dekhkar phool ko muskan sab ke labon pe cha jaati,
Phir dil mein use paane ki umang hai jaagti.
Phir dil mein use paane ki umang hai jaagti.
Kuch sirf phool ki khoobsurti dekhkar utha use lete hain,
Phir kaanton ke chubne par chod dete hain.
Phir kaanton ke chubne par chod dete hain.
Kuch un kaanton ko hain door hi se dekhlete,
Phir lakh chahkar bhi use apna nahi paate.
Phir lakh chahkar bhi use apna nahi paate.
Par woh jo hote hain sach mein samajhdaar,
Hote us phool ke hain darasal haqdaar.
Hote us phool ke hain darasal haqdaar.
Aate baagh mein hain banke bemausam bahar,
Dil unka karta hai is sach ka izhaar.........
Dil unka karta hai is sach ka izhaar.........
Apnana hoga isay saari haqiqat jaankar,
Kabhi bhoole se bhi na pheinkna in kaanton ko nikalkar.
Kabhi bhoole se bhi na pheinkna in kaanton ko nikalkar.
Kitna pyaara lagta hai in kaanton ke sang yeh phool,
Yehi to darasal qudrat ka hai usool.
Yehi to darasal qudrat ka hai usool.
Arey!phool hai to saat kaante to honge hi,
Har khoobi mein zaahir hai kuch kami to hogi hi!!!
Har khoobi mein zaahir hai kuch kami to hogi hi!!!
-Firdaus
3 comments:
Assalaam O Alikum warahmatullahi wabarkatuhu :)
subhaanAllah :) A wonderrful poeem indeed :)
kitnaa sach kaha hai..mashAllah :D
lovedddd it!
"Apnana hoga isay saari haqiqat jaankar,
Kabhi bhoole se bhi na pheinkna in kaanton ko nikalkar."
WOW :D
subhaanAllah :)
kuch loog apne aap ko sirf phool samjhte hain,
jabke woh hote hain guldasta beshumaar phulaun ka;
Aur khadardaan sirf phool nahi todte, balke pura paoda hi lejate hain :) apne aangan maen lagane ke liye ...lolz
Post a comment