Wo kaaghaz ke tukdon pe tedi-medi lakeerein
Wo nigaahon me Seerah ki rangeen tasveerein
Mujhe samjhaana ke mitti se bana insaan hai
Aur is Duniya ka ek waahid nageena Quran hai
Bas Eemaan hi is Duniya ki sachchi Daulat hai
Hamaara aakhri aur mustaqil thikaana Aakhirat hai
Baar baar Rabb se kiya Iblees ka waada yaad dilaaya
Apne Khaaliq se mujhe jo jodhe wo Aqeedah sikhaaya
Bataaya mujhko kaise hai mukmmal aurat se
Ghar aur samaaj hai mutaasir uski fitrat se
Hai faqr jispe mujhko aapne wo parwarish di
Ek Mominah main banoon - aapki ek hi koshish thi
Ek beti ko aapne di itni izzat, aisi mohabbat
Mujhe apna guroor samjha - Allaah ki ek nyamat
Yaad aata hai mujhko aapke pyaar ka lamha lamha
Bin aapke main jeeti hoon, muskuraati hoon tanha tanha
Ho Allaah aapse yun raazi jis Din ho deedaar Uska
Har taraf se aapko rahe ghera Razaa-o-pyaar Uska
Ye Dua hai is beti ki jisko na samjhaa aapne kabhi museebat
Allaah aapki har qurbaani ke badle me dede apni Jannat
(Ameen)
~ BintSamsamuddin