Bas Wahdat ke liye us Rabb ki, Jisne mitti se hamaari takmeel ki
Jab kabhi kisi Ibaadi ne logon ko Dawaat-e-Tawheed di
Padha usko sunna aksar ke wo hai takfeeri firqa-parast
Jahaalat ka andhera itna gehra, hain andhe, behre, goonge - gumraah-parast
Aakhir kaise nazar aata nahi, aye Muslamaanon tumhe kya Haqq hai?
Kyun dil tumhaare khauf khaate nahi, yaad rakho Mehshar ek Sach hai!
Waada hai tumhaare Rabb ka ke Wo maaf kardega Apni Rehmat se
Agar shirk tumne naa kiya to Wo jagah dega Apni Jannat me
Qur'an ke maujize ko jab utaara Allaah ne Apne Nabi (ﷺ) par
Uska maqsad tha Apni Wahdat ki hifaazat karna is zameen par
Kalaamullaah ke paighaam ko pahonchaaya hum tak Uske Aakhri Rasool (ﷺ) ne
Phir kee pairwi Aap (ﷺ) ki tamaam Sahaaba (رضي الله عنهم) ne ita'at ke usool pe
Deen bahut hi aasaan hai, k wo ho chuka kaamil Aap (ﷺ) ke haathon se
"Main Banda hoon mere Rabb ka" - bas ye hota tha saabit Aap (ﷺ) ke amaal aur baaton se
Ye Afzal-tareen Allaah ka Banda (ﷺ) kehta tha - ghulu haraam hai paighambaron ka
Jab sajdah Aap (ﷺ) ko jaayaz nahi, to kaise jaayaz hai aaj mazaaron aur gunahgaaron ka?
Kiya Rasool Allaah (ﷺ) ne wazeh ke Eemaan hai kaamil AWWAL Aap (ﷺ) ki muhabbat se
Ye muhabbat ka milta hai saboot zindagi ke har marhale me Aap (ﷺ) ki ita'at se
Yaad rakho k Jannat ko haasil karne ka waahid raasta hai Sunnat ka
Aur Aap (ﷺ) ka farmaan hai ke Jahunnum me hai thikaana har biddat ka
Apne Mehboob (ﷺ) ki wafaat k baad Ayesha (رضي الله عنه) door ho chuki theen un mazboot baahon se
Aap (ﷺ) ki yaadon ko sameyt kar wo ro padhti theen Rabb ke aage sajdon me
Aap (ﷺ) ki ita'at me taa-umr ahaadeeth bayaan kiye, Seekha hua deen, Aap (ﷺ) k jaane baad sikhaaya
Kya Ayesha (رضي الله عنه) ne kabhi Rasool Allaah (ﷺ) ki yaad me MILAAD manaaya?
Kya haasil kisi sachche Daa’i ko ke wo tumse uljhe, tumhe zehmat de
Jise pyaar hai Nabi ﷺ se, usko pyaar hai Aap ﷺ ki ummat se
Ye jo thakte haarte hue bhi tumhe wohi arkaan-o-sharaait samjhaate hain
Nabi ﷺ ro-ro ke duayein karte the, hum bas us Sunnat ki pairwi karte hain
Kahaa pyaar se jab bhi humne ke shirk-o-biddat se paak raho
Koi Mushkil-kusha, koi haajat-rawaa nahi - Sajdon me Rabb ke paas raho
Koi madadgaar kaise dastageer bana? Kaise kisi bashar ko tumne banaaya ghareeb-nawaaz?
Aye Musalmaanon tum hosh me aao, dilon ko khol kar suno Qur'an-o-Hadeeth ki awaaz
Kiya jab bhi kisi ne aagah tumhe ke dekho ye hai raah-e-Iblees
Kaha tumne bhagaao isko yahaan se, ye to lagta hai Ahle Hadeeth!
Jab bhi ki koshish ke batayein ke in aamaal se hai Duniya-o-Aakhirat ki kharaabi
Gaaliyon ki tarah diye khitaab hume, kabhi Salafi, to kabhi Wahhaabi!
Hai jaan-o-maal haazir hamaare hifaazat karne k liye Shariat ki Iblees se
Tawheed pe mar-mitne waali Sunnat ko zinda rakhne waale - ye hai maaine Ahle Hadeeth ke
Jis tarah kee hifaazat Imaam Muhammad bin Abdul Wahhaab ne Allaah ke Deen ki
Waise hi hum chalte hain aaj bhi raahon par Salaf-us-Saaliheen ki
Suno, ek baar karna TUM wudhu aur qibla-rukh khade ho kar
Kalimah-e-Shahaadat ko dil se samajhkar kehna “Allaahu Akbar”
Karna raazi Rabb-e-Ka’bah ko, bas do mukhlis rakaaton se
Is zameen ke kisi bhi kone me, maangna hidaayat Usse Sajdon me
Hai muqarrar wo din qayaamat ka jab aazah-e-wudhu sab ke chamkeinge
Dekh kar Rasool Allaah ﷺ ko dil hum sab ke khushi se dhadkenge
Hai Dua iss Daa’i-e-Tawheed ki, ke mere Nabi ﷺ ki Ummat naa pyaasi rahe
Mile Jaam-e-Kauthar hum sab hi ko, koi daagh-e-biddat naa baaqi rahe
Hashr ke maidaan me jab sooraj hoga sar pe, insaan doob rahe honge paseene me
Mile jagah hum sab hi ko Arsh-e-Baari Ta’ala ke saaye me
Na banaaye kabhi Nafs humko ghulaam, ho ikhlaas is Daawah ki wajah
Ho qubool Ibaadat ki tarah - Al-Walaa wa Al-Baraa
(AMEEN)
~ UmmHashir
No comments:
Post a comment